yar aaj maine bhi ek kamal karna hai
yaar aaj maiñ ne bhī ik kamāl karnā hai
jism se nikalnā hai jī bahāl karnā hai
āñkheñ aur chehre par chaar chhe lagānī haiñ
saarā husn qudarat kā pā.emāl karnā hai
zindagī ke raste par kyuuñ khaḌā huā huuñ maiñ
aate jaate logoñ se kyā savāl karnā hai
haañ bachā luuñ thoḌā sā ḳhud ko din ke hāthoñ se
aatī raat kā bhī to kuchh ḳhayāl karnā hai
lo pachās bhī ab to ḳhair se hue puure
ye tamāshā kyā 'alvī' saaTh saal karnā hai
yar aaj main ne bhi ek kamal karna hai
jism se nikalna hai ji bahaal karna hai
aankhen aur chehre par chaar chhe lagani hain
sara husn qudarat ka paemal karna hai
zindagi ke raste par kyun khaDa hua hun main
aate jate logon se kya sawal karna hai
han bacha lun thoDa sa KHud ko din ke hathon se
aati raat ka bhi to kuchh KHayal karna hai
lo pachas bhi ab to KHair se hue pure
ye tamasha kya 'alwi' saTh sal karna hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 52)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.