Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao

Rind Lakhnavi

yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao

Rind Lakhnavi

MORE BYRind Lakhnavi

    yaar aayā hai ahvāl-e-dil-e-zār dikhāo

    iisā ko zarā hālat-e-bīmār dikhāo

    aa jaao bas ab raah na ai yaar dikhāo

    mushtāq huuñ mushtāq huuñ dīdār dikhāo

    aalam hai so hai hijr meñ yaañ josh-e-junūñ

    sahrā mujhe dikhlāo ki gulzār dikhāo

    fardā-e-qayāmat na iqrār karo jaañ

    lo hashr sahī aaj dīdār dikhāo

    āshiq haiñ bahut ek to chun kar koī mujh

    pushte tarah pusht-ba-dīvār dikhāo

    aalam nazar aa jaa.e bahār aur ḳhizāñ

    ham zard hoñ tum phuul se ruḳhsār dikhāo

    talvār lagāo mujhe golī se na maaro

    til Dhāñk lo aur abru-e-ḳhamdār dikhāo

    har dam mutaqāzī hai yahī hasrat-e-dīdār

    phir ek nazar jalva-e-dildār dikhāo

    farmāte ho āshiq haiñ mire tujh se hazāroñ

    ai jaan ziyāda nahīñ do-chār dikhāo

    ishq abrū o mizhgāñ buto saath hai dam ke

    ḳhanjar mujhe dikhlāo ki talvār dikhāo

    maiñ qabr se bhī 'rind' yahī kahtā uThūñgā

    mushtāq huuñ mushtāq huuñ dīdār dikhāo

    yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao

    isa ko zara haalat-e-bimar dikhao

    aa jao bas ab rah na ai yar dikhao

    mushtaq hun mushtaq hun didar dikhao

    aalam hai so hai hijr mein yan josh-e-junun ka

    sahra mujhe dikhlao ki gulzar dikhao

    farda-e-qayamat ka na iqrar karo jaan

    lo hashr sahi aaj hi didar dikhao

    aashiq hain bahut ek to chun kar koi mujh sa

    pushte ki tarah pusht-ba-diwar dikhao

    aalam nazar aa jae bahaar aur KHizan ka

    hum zard hon tum phul se ruKHsar dikhao

    talwar lagao mujhe goli se na maro

    til Dhank lo aur abru-e-KHamdar dikhao

    har dam mutaqazi hai yahi hasrat-e-didar

    phir ek nazar jalwa-e-dildar dikhao

    farmate ho aashiq hain mere tujh se hazaron

    ai jaan ziyaada nahin do-chaar dikhao

    ishq abru o mizhgan ka buto sath hai dam ke

    KHanjar mujhe dikhlao ki talwar dikhao

    main qabr se bhi 'rind' yahi kahta uThunga

    mushtaq hun mushtaq hun didar dikhao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now