yar duniya to faqat do harf ki hai
yaar duniyā to faqat do harf kī hai
baat lekin aadmī ke zarf kī hai
tum use pal meñ samajhnā chāhte ho
maiñ ne aadhī umr apnī sarf kī hai
is se aage ab manāzir dhuup ke haiñ
aur mire hāthoñ meñ chhatrī barf kī hai
sun rahā huuñ aaj phir aahaT tirī maiñ
kānoñ meñ āvāz bhī us zarf kī hai
kitne pur-tāsīr haiñ alfāz phir bhī
kuchh kamī lahje meñ us ke zarf kī hai
yar duniya to faqat do harf ki hai
baat lekin aadmi ke zarf ki hai
tum use pal mein samajhna chahte ho
main ne aadhi umr apni sarf ki hai
is se aage ab manazir dhup ke hain
aur mere hathon mein chhatri barf ki hai
sun raha hun aaj phir aahaT teri main
kanon mein aawaz bhi us zarf ki hai
kitne pur-tasir hain alfaz phir bhi
kuchh kami lahje mein us ke zarf ki hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.