yaar hai tū jis ko samjhā ġhair hai
ġhair apnā kaun apnā ġhair hai
ġhair kā ahvāl sunte haiñ vo ḳhuub
is liye ahvāl merā ġhair hai
hai tirī teġh-e-nigah meñ kyā asar
vaar ho ham par to kaTtā ġhair hai
ġhair samjhā hai yahāñ tak ham ko yaar
bosa māñgeñ ham to paatā ġhair hai
agle yāroñ meñ tumhāre thā 'nasīm'
aaj samjhe ham ki aglā ġhair hai
yar hai tu jis ko samjha ghair hai
ghair apna kaun apna ghair hai
ghair ka ahwal sunte hain wo KHub
is liye ahwal mera ghair hai
hai teri tegh-e-nigah mein kya asar
war ho hum par to kaTta ghair hai
ghair samjha hai yahan tak hum ko yar
bosa mangen hum to pata ghair hai
agle yaron mein tumhaare tha 'nasim'
aaj samjhe hum ki agla ghair hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.