yar ke bin bahaar kya kije
yaar ke bin bahār kyā kiije
gul na hove to ḳhaar kyā kiije
kaam merā to ho chalā āḳhir
ai mire kirdgār kyā kiije
koī vā'da vafā nahīñ kartā
vo taġhāful shi'ār kyā kiije
misl-e-ā.īna ḳhud-numā merā
sab se ho hai do-chār kyā kiije
soz-e-dil merā mujh ko de hai jalā
aah misl-e-chinār kyā kiije
ishq ne kar diyā mujhe majbūr
ab nahīñ iḳhtiyār kyā kiije
misl-e-zulf-e-butāñ fasāna-e-dil
hai tavīl iḳhtisār kyā kiije
guzrī jo dil pe mere ho guzrī
us kā ab ishtihār kyā kiije
dil to gulchīñ hai tere gulshan kā
le ke gul-rū hazār kyā kiije
vo to aatā nahīñ hai mere paas
ai dil-e-be-qarār kyā kiije
be-tarah hai mujhe ye mushkil ishq
sāhab-e-zulfiqār kyā kiije
ai 'jahāñdār' sab jahāñ DhūñDā
na.iiñ kuī ġham-gusār kyā kiije
yar ke bin bahaar kya kije
gul na howe to KHar kya kije
kaam mera to ho chala aaKHir
ai mere kirdgar kya kije
koi wa'da wafa nahin karta
wo taghaful shi'ar kya kije
misl-e-aina KHud-numa mera
sab se ho hai do-chaar kya kije
soz-e-dil mera mujh ko de hai jala
aah misl-e-chinar kya kije
ishq ne kar diya mujhe majbur
ab nahin iKHtiyar kya kije
misl-e-zulf-e-butan fasana-e-dil
hai tawil iKHtisar kya kije
guzri jo dil pe mere ho guzri
us ka ab ishtihaar kya kije
dil to gulchin hai tere gulshan ka
le ke gul-ru hazar kya kije
wo to aata nahin hai mere pas
ai dil-e-be-qarar kya kije
be-tarah hai mujhe ye mushkil ishq
sahab-e-zulfiqar kya kije
ai 'jahandar' sab jahan DhunDa
nain kui gham-gusar kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.