yar KHaif hain mera dard baDha dene se
yaar ḳhā.if haiñ mirā dard baḌhā dene se
aag itnī hai ki bujh jaa.e havā dene se
jaise ham donoñ ke milne pe safar ḳhatm huā
manzileñ bantī haiñ rastoñ ko milā dene se
vus.at-e-zāt-e-makīñ se hai makāñ kī vus.at
dil baḌā hogā tujhe us meñ jagah dene se
barf pighlī to nazar aane lage sabz pahāḌ
aañkh khulne lagī ḳhvāboñ ko bahā dene se
jaise qatre ne utārā ho nadī kā sadqa
kitnā halkā huā dil us ko duā dene se
tere dam se mirī nazreñ mire raste par haiñ
farq paḌtā hai tujhe rah se haTā dene se
ye ri.āyat bhī koī peḌ hī kar saktā thā
rāsta khul gayā ik shāḳh kaTā dene se
yar KHaif hain mera dard baDha dene se
aag itni hai ki bujh jae hawa dene se
jaise hum donon ke milne pe safar KHatm hua
manzilen banti hain raston ko mila dene se
wusat-e-zat-e-makin se hai makan ki wusat
dil baDa hoga tujhe us mein jagah dene se
barf pighli to nazar aane lage sabz pahaD
aankh khulne lagi KHwabon ko baha dene se
jaise qatre ne utara ho nadi ka sadqa
kitna halka hua dil us ko dua dene se
tere dam se meri nazren mere raste par hain
farq paDta hai tujhe rah se haTa dene se
ye riayat bhi koi peD hi kar sakta tha
rasta khul gaya ek shaKH kaTa dene se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.