yar ki mahfil saji mai ki mahak chhane lagi
yaar kī mahfil sajī mai kī mahak chhāne lagī
zehn-o-dil meñ ye kahāñ se raushnī aane lagī
aa gale lag jā mire shamshīr-e-qātil is dafa.a
iid kyuuñ har baar merī rā.egāñ jaane lagī
terā shikva hai hinā hāthoñ pe kyuuñ chaḌhtī nahīñ
itnī muddat ho ga.ī jab tū mire shāne lagī
din guzāre the ye kah kar ab na sochūñgā use
phir bahār-e-īd aa.ī un kī yaad aane lagī
ek muddat ba.ad 'sarvar' gulshan-e-hastī meñ ab
phir bahār-e-īd aa.ī un kī yaad aane lagī
yar ki mahfil saji mai ki mahak chhane lagi
zehn-o-dil mein ye kahan se raushni aane lagi
aa gale lag ja mere shamshir-e-qatil is dafa
id kyun har bar meri raegan jaane lagi
tera shikwa hai hina hathon pe kyun chaDhti nahin
itni muddat ho gai jab tu mere shane lagi
din guzare the ye kah kar ab na sochunga use
phir bahaar-e-id aai un ki yaad aane lagi
ek muddat baad 'sarwar' gulshan-e-hasti mein ab
phir bahaar-e-id aai un ki yaad aane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.