yar ko be-hijab dekha hun
yaar ko be-hijāb dekhā huuñ
maiñ samajhtā huuñ ḳhvāb dekhā huuñ
ye ajab hai ki din kuuñ tārīkī
raat kuuñ āftāb dekhā huuñ
nusḳha-e-husn meñ tire qad kuuñ
misra-e-intiḳhāb dekhā huuñ
kis satī ab umīd-e-lutf rakhūñ
tujh nigah siiñ itaab dekhā huuñ
ab huā sab siiñ fāriġh-ut-tahsīl
be-ḳhudī kī kitāb dekhā huuñ
lashkar-e-ishq jab siiñ aayā hai
mulk-e-dil kuuñ ḳharāb dekhā huuñ
majlis-e-chashm-e-mast saaqī meñ
daur-e-jām-e-sharāb dekhā huuñ
ai 'sirāj' ātish-e-mohabbat meñ
dil kuuñ apne kabāb dekhā huuñ
yar ko be-hijab dekha hun
main samajhta hun KHwab dekha hun
ye ajab hai ki din kun tariki
raat kun aaftab dekha hun
nusKHa-e-husn mein tere qad kun
misra-e-intiKHab dekha hun
kis sati ab umid-e-lutf rakhun
tujh nigah sin itab dekha hun
ab hua sab sin farigh-ut-tahsil
be-KHudi ki kitab dekha hun
lashkar-e-ishq jab sin aaya hai
mulk-e-dil kun KHarab dekha hun
majlis-e-chashm-e-mast saqi mein
daur-e-jam-e-sharab dekha hun
ai 'siraj' aatish-e-mohabbat mein
dil kun apne kabab dekha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.