yar ko maine mujhe yar ne sone na diya
yaar ko maiñ ne mujhe yaar ne sone na diyā
raat bhar tāle-e-be-dār ne sone na diyā
ḳhaak par sang-e-dar-e-yār ne sone na diyā
dhuup meñ sāya-e-dīvār ne sone na diyā
shaam se vasl kī shab aañkh na jhapkī tā-sub.h
shādī-e-daulat-e-dīdār ne sone na diyā
ek shab bulbul-e-betāb ke jaage na nasīb
pahlu-e-gul meñ kabhī ḳhaar ne sone na diyā
raat bhar kī dil-e-betāb ne bāteñ mujh se
ranj-o-mehnat ke giraftār ne sone na diyā
sach hai ġham-ḳhvārī-e-bīmār azāb-e-jāñ hai
tā-dam-e-marg dil-e-zār ne sone na diyā
takiya tak pahlū meñ us gul ne na rakkhā 'ātish'
ġhair ko saath kabhī yaar ne sone na diyā
yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya
raat bhar tale-e-be-dar ne sone na diya
KHak par sang-e-dar-e-yar ne sone na diya
dhup mein saya-e-diwar ne sone na diya
sham se wasl ki shab aankh na jhapki ta-subh
shadi-e-daulat-e-didar ne sone na diya
ek shab bulbul-e-betab ke jage na nasib
pahlu-e-gul mein kabhi KHar ne sone na diya
raat bhar ki dil-e-betab ne baaten mujh se
ranj-o-mehnat ke giraftar ne sone na diya
sach hai gham-KHwari-e-bimar azab-e-jaan hai
ta-dam-e-marg dil-e-zar ne sone na diya
takiya tak pahlu mein us gul ne na rakkha 'atish'
ghair ko sath kabhi yar ne sone na diya
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 200)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.