yar kya dastan ko moD diya
yaar kyā dāstāñ ko moḌ diyā
mujh ko andhe kueñ meñ chhoḌ diyā
aks chorī kiyā salīqe se
aa.ina vāpsī pe joḌ diyā
ain ḳhushbū ke vaqt bū jaagī
aur maiñ ne vo phuul toḌ diyā
phūñk maarī hai kis ne qālib meñ
ḳhāmushī kā tilism toḌ diyā
ghar se bāhar nahīñ nikalte ham
terī ḳhātir jahān chhoḌ diyā
joñk chimTī rahī badan ke saath
tere ġham ne mujhe nichoḌ diyā
vaqt kāñdhoñ pe chaḌh gayā 'rāshid'
ḳhud farebī kā maTkā phoḌ diyā
yar kya dastan ko moD diya
mujh ko andhe kuen mein chhoD diya
aks chori kiya saliqe se
aaina wapsi pe joD diya
ain KHushbu ke waqt bu jagi
aur main ne wo phul toD diya
phunk mari hai kis ne qalib mein
KHamushi ka tilism toD diya
ghar se bahar nahin nikalte hum
teri KHatir jahan chhoD diya
jonk chimTi rahi badan ke sath
tere gham ne mujhe nichoD diya
waqt kandhon pe chaDh gaya 'rashid'
KHud farebi ka maTka phoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.