yar nikla hai aaftab ki tarh
yaar niklā hai āftāb kī tarh
kaun sī ab rahī hai ḳhvāb kī tarh
chashm-e-mast-e-siyah kī yaad mudām
shīsha-e-dil meñ hai sharāb kī tarh
kabhū ḳhāmosh huuñ kabhū goyā
sarnavisht hai mirī kitāb kī tarh
past ho chal misāl dariyā ke
ḳhema barpā na kar habāb kī tarh
pā-bosī kuuñ us kā hai gar shauq
qad kuuñ apne banā rikāb kī tarh
saaf dil hai to aa kudūrat chhoḌ
mil har ik rañg biich aab kī tarh
piiv piive hai sharāb 'hātim' saath
kyuuñ na dushman jale kabāb kī tarh
yar nikla hai aaftab ki tarh
kaun si ab rahi hai KHwab ki tarh
chashm-e-mast-e-siyah ki yaad mudam
shisha-e-dil mein hai sharab ki tarh
kabhu KHamosh hun kabhu goya
sarnawisht hai meri kitab ki tarh
past ho chal misal dariya ke
KHema barpa na kar habab ki tarh
pa-bosi kun us ka hai gar shauq
qad kun apne bana rikab ki tarh
saf dil hai to aa kudurat chhoD
mil har ek rang bich aab ki tarh
piw piwe hai sharab 'hatim' sath
kyun na dushman jale kabab ki tarh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.