yaar se dast-o-garebāñ na huā thā so huā
kabhī itnā maiñ pashemāñ na huā thā so huā
vāqa.ī jā-e-nadāmat to yahī hai ki kabhū
mujh se jo kaam azīzāñ na huā thā so huā
tujh ko dekhe koī aur us se ḳhafā honā haa.e
kyā karūñ ai dil-e-nādāñ na huā thā so huā
kar ke nazzāra tan-e-sāf kā us ke haihāt
shakl-e-ā.īna jo hairāñ na huā thā so huā
hañste hañste na sunā thā kahīñ ho ḳhāna-ḳharāb
rovo ab dīda-e-giryāñ na huā thā so huā
baal ve bikhre hue dekh ke ruḳh par us ke
kabhū kāfir jo musalmāñ na huā thā so huā
'muntazir' is dil-e-betāb ke hāthoñ shab-e-vasl
kyā kaheñ tum se miyāñ jo na huā thā so huā
yar se dast-o-gareban na hua tha so hua
kabhi itna main pasheman na hua tha so hua
waqai ja-e-nadamat to yahi hai ki kabhu
mujh se jo kaam azizan na hua tha so hua
tujh ko dekhe koi aur us se KHafa hona hae
kya karun ai dil-e-nadan na hua tha so hua
kar ke nazzara tan-e-saf ka us ke haihat
shakl-e-aina jo hairan na hua tha so hua
hanste hanste na suna tha kahin ho KHana-KHarab
rowo ab dida-e-giryan na hua tha so hua
baal we bikhre hue dekh ke ruKH par us ke
kabhu kafir jo musalman na hua tha so hua
'muntazir' is dil-e-betab ke hathon shab-e-wasl
kya kahen tum se miyan jo na hua tha so hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.