yar tujhko mera KHayal to hai
yaar tujh ko mirā ḳhayāl to hai
ishq meñ itnī dekh-bhāl to hai
ġham nahīñ gar ḳhushī nahīñ hāsil
furqat-e-dost kā malāl to hai
tujh pe guzrī hai kyā ḳhabar hai mujhe
tere jaisā hī merā haal to hai
merā haamī jahāñ nahīñ to kyā
shukr hai rabb-e-zul-jalāl to hai
hai agar zo.am-e-bartarī tum ko
ye bhī ik sūrat-e-zavāl to hai
mere pahlū meñ tū nahīñ na sahī
mere shāne pe terī shaal to hai
zindagī meñ yahī tamannā thī
dam-e-āḳhir tirā visāl to hai
us kī tamsīl hī nahīñ hai 'asad'
merā mahbūb be-misāl to hai
yar tujh ko mera KHayal to hai
ishq mein itni dekh-bhaal to hai
gham nahin gar KHushi nahin hasil
furqat-e-dost ka malal to hai
tujh pe guzri hai kya KHabar hai mujhe
tere jaisa hi mera haal to hai
mera hami jahan nahin to kya
shukr hai rabb-e-zul-jalal to hai
hai agar zoam-e-bartari tum ko
ye bhi ek surat-e-zawal to hai
mere pahlu mein tu nahin na sahi
mere shane pe teri shaal to hai
zindagi mein yahi tamanna thi
dam-e-aKHir tera visal to hai
us ki tamsil hi nahin hai 'asad'
mera mahbub be-misal to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.