yar tujhse juda nahin hota
yaar tujh se judā nahīñ hotā
tū agar bevafā nahīñ hotā
chashm-e-sāqī agar nahīñ hote
zindagī meñ maza nahīñ hotā
ab to sun lo hamārī fariyādeñ
kaam tumre binā nahīñ hotā
maiñ ne dekhā hai aap kā chehra
kaise kah duuñ ḳhudā nahīñ hotā
husn un kā to nuur jaisā hai
har kisī ko atā nahīñ hotā
gar tumhārī anā nahīñ hotī
darmiyāñ fāsla nahīñ hotā
be-sabab dūriyāñ baḌhāne se
pyaar kā haq adā nahīñ hotā
yar tujh se juda nahin hota
tu agar bewafa nahin hota
chashm-e-saqi agar nahin hote
zindagi mein maza nahin hota
ab to sun lo hamari fariyaaden
kaam tumre bina nahin hota
main ne dekha hai aap ka chehra
kaise kah dun KHuda nahin hota
husn un ka to nur jaisa hai
har kisi ko ata nahin hota
gar tumhaari ana nahin hoti
darmiyan fasla nahin hota
be-sabab duriyan baDhane se
pyar ka haq ada nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.