yar tum dil dukha rahi ho kya
yaar tum dil dukhā rahī ho kyā
bol do duur jā rahī ho kyā
yuuñ ḳhamoshī mujhe dikhā kar tum
zulm par zulm Dah rahī ho kyā
merī ġhurbat ko jaan kar jānāñ
jaan mujh se chhuḌā rahī ho kyā
dil meñ ḳhvāhish hai dostī kī magar
dushmanī tum nibhā rahī ho kyā
rizq allāh de rahā hai hameñ
baat us kī bhulā rahī ho kyā
kyā hai 'parvez' kī ḳhatā ye batā
be-sabab aazmā rahī ho kyā
yar tum dil dukha rahi ho kya
bol do dur ja rahi ho kya
yun KHamoshi mujhe dikha kar tum
zulm par zulm Dah rahi ho kya
meri ghurbat ko jaan kar jaanan
jaan mujh se chhuDa rahi ho kya
dil mein KHwahish hai dosti ki magar
dushmani tum nibha rahi ho kya
rizq allah de raha hai hamein
baat us ki bhula rahi ho kya
kya hai 'parwez' ki KHata ye bata
be-sabab aazma rahi ho kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.