yar ulfat azab lagti hai
yaar ulfat azaab lagtī hai
ab mohabbat azaab lagtī hai
dost dushman-numā jo hote haiñ
un se raġhbat azaab lagtī hai
ik shikāyat sī jaise ghar meñ ga.ī
ab shikāyat azaab lagtī hai
pahle pahle to us ke ḳhvāhāñ the
ab ye shohrat azaab lagtī hai
puurī kar kar zarūrateñ ghar kī
har zarūrat azaab lagtī hai
jab se ranjish hamārī ḳhatm huī
ab kudūrat azaab lagtī hai
jab milī hai sazā sharārat kī
har sharārat azaab lagtī hai
yar ulfat azab lagti hai
ab mohabbat azab lagti hai
dost dushman-numa jo hote hain
un se raghbat azab lagti hai
ek shikayat si jaise ghar mein gai
ab shikayat azab lagti hai
pahle pahle to us ke KHwahan the
ab ye shohrat azab lagti hai
puri kar kar zaruraten ghar ki
har zarurat azab lagti hai
jab se ranjish hamari KHatm hui
ab kudurat azab lagti hai
jab mili hai saza shararat ki
har shararat azab lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.