yara nahin jin mein dushmani ka
yaarā nahīñ jin meñ dushmanī kā
da.avā na kareñ vo dostī kā
unvāñ na mile jo ḳhud-sarī kā
khultā nahīñ baab āgahī kā
un ko thā ḳhayāl dostī kā
vo daur guzar chukā kabhī kā
dastūr nahīñ kuchh is sadī kā
kab daur na thā ravā-ravī kā
ai dost gila na kar kisī kā
ehsās hai ye bhī kamtarī kā
vo chāñd utar chukā hai dil meñ
muhtāj nahīñ jo raushnī kā
bohtān hai ye ki jī rahā huuñ
ilzām hai mujh pe zindagī kā
jiine ko to jī rahī hai duniyā
jiinā hai magar kisī kisī kā
jis vaqt sahar qarīb hogī
pūchheñge mizāj chāñdnī kā
vo pūchh rahe haiñ mujh se 'tāriq'
kyā haal hai terī shā.irī kā
yara nahin jin mein dushmani ka
dawa na karen wo dosti ka
unwan na mile jo KHud-sari ka
khulta nahin bab aagahi ka
un ko tha KHayal dosti ka
wo daur guzar chuka kabhi ka
dastur nahin kuchh is sadi ka
kab daur na tha rawa-rawi ka
ai dost gila na kar kisi ka
ehsas hai ye bhi kamtari ka
wo chand utar chuka hai dil mein
muhtaj nahin jo raushni ka
bohtan hai ye ki ji raha hun
ilzam hai mujh pe zindagi ka
jine ko to ji rahi hai duniya
jina hai magar kisi kisi ka
jis waqt sahar qarib hogi
puchhenge mizaj chandni ka
wo puchh rahe hain mujh se 'tariq'
kya haal hai teri shairi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.