yarab jo sar pe hai wo samandar utar de
yārab jo sar pe hai vo samandar utaar de
dhartī pe būñd-būñd payambar utaar de
ab kyoñ na ham bhī saath bagūle ke uḌ chaleñ
shāyad kisī makān kī chhat par utaar de
bhañvaroñ kā raqs ḳhatm huiiñ titliyāñ havā
ai shāḳh-e-sabz phūloñ kā zevar utaar de
pahchāntā huuñ ḳhuub arī sar-phirī hayāt
aa sāmne ye dard kī chādar utaar de
patthar banā na de kahīñ mausam kā sard haath
shīshe kī aag jism ke andar utaar de
'tāhir' pahāḌ hone lagī hai shab-e-firāq
dil kī nadī meñ aas ke paikar utaar de
yarab jo sar pe hai wo samandar utar de
dharti pe bund-bund payambar utar de
ab kyon na hum bhi sath bagule ke uD chalen
shayad kisi makan ki chhat par utar de
bhanwaron ka raqs KHatm huin titliyan hawa
ai shaKH-e-sabz phulon ka zewar utar de
pahchanta hun KHub ari sar-phiri hayat
aa samne ye dard ki chadar utar de
patthar bana na de kahin mausam ka sard hath
shishe ki aag jism ke andar utar de
'tahir' pahaD hone lagi hai shab-e-firaq
dil ki nadi mein aas ke paikar utar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.