yarab tere karam se ye sauda karenge hum
yārab tire karam se ye saudā kareñge ham
duniyā meñ pī ke ḳhuld meñ tauba kareñge ham
yuuñ rasm-e-husn-o-ishq ko rusvā kareñge ham
tum muntazir rahoge na aaya kareñge ham
ā.īne meñ ḳhud apnā tamāshā kareñge ham
yuuñ bhī shab-e-firāq guzāra kareñge ham
jab tak na nazar aaoge aisā kareñge ham
har roz ik ḳhudā ko tarāshā kareñge ham
tujh ko biThā ke duur se dekhā kareñge ham
yuuñ bhī tire ġhurūr se khelā kareñge ham
jā tujh se be-niyāz hue bhūle terā zikr
tū chāhegā to terī tamannā kareñge ham
yarab tere karam se ye sauda karenge hum
duniya mein pi ke KHuld mein tauba karenge hum
yun rasm-e-husn-o-ishq ko ruswa karenge hum
tum muntazir rahoge na aaya karenge hum
aaine mein KHud apna tamasha karenge hum
yun bhi shab-e-firaq guzara karenge hum
jab tak na nazar aaoge aisa karenge hum
har roz ek KHuda ko tarasha karenge hum
tujh ko biTha ke dur se dekha karenge hum
yun bhi tere ghurur se khela karenge hum
ja tujh se be-niyaz hue bhule tera zikr
tu chahega to teri tamanna karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.