yarab wo waqt aaKHiri waqt-e-dua bhi ho
yārab vo vaqt āḳhirī vaqt-e-duā bhī ho
tauba kā mere vāste ik dar khulā bhī ho
dil chāhtā hai mujh se mile baar baar vo
milne kā baar baar sabab jāntā bhī ho
mumkin nahīñ hai roz jo milnā hameñ nasīb
un se kabhī-kabhār sahī rābta bhī ho
us se hī dil lagāyā vahī man kā miit hai
allah kare na aur koī ham-navā bhī ho
chāhat ke rang us ne jo mujh ko atā kiye
dil sochtā thā aise koī chāhtā bhī ho
us ne pukārā phir se hai jis ne kabhī kabhī
dil khol ke burā-bhalā ham ko kahā bhī ho
jalve bikhar rahe haiñ jo husn-o-jamāl ke
itne hujūm meñ koī chehra nayā bhī ho
us ne kahā hai jab se mirā dil nihāl hai
pyārī 'shagufta' tum ho mirī dilrubā bhī ho
yarab wo waqt aaKHiri waqt-e-dua bhi ho
tauba ka mere waste ek dar khula bhi ho
dil chahta hai mujh se mile bar bar wo
milne ka bar bar sabab jaanta bhi ho
mumkin nahin hai roz jo milna hamein nasib
un se kabhi-kabhaar sahi rabta bhi ho
us se hi dil lagaya wahi man ka mit hai
allah kare na aur koi ham-nawa bhi ho
chahat ke rang us ne jo mujh ko ata kiye
dil sochta tha aise koi chahta bhi ho
us ne pukara phir se hai jis ne kabhi kabhi
dil khol ke bura-bhala hum ko kaha bhi ho
jalwe bikhar rahe hain jo husn-o-jamal ke
itne hujum mein koi chehra naya bhi ho
us ne kaha hai jab se mera dil nihaal hai
pyari 'shagufta' tum ho meri dilruba bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.