yarab ye kaisa manzar hai
yārab ye kaisā manzar hai
sab ke hāthoñ meñ ḳhanjar hai
bāhar se kyā dekh rahe ho
dil to siine ke andar hai
pūchh rahā thā sahmā bachcha
kyoñ dahshat kā ye manzar hai
matlab kyā hai ḳhāmoshī kā
bolo āḳhir kyā chakkar hai
yuuñ kuchlā hai mere dil ko
tere siine meñ patthar hai
haar gayā to kyā hai mushkil
marne se jiinā behtar hai
yarab ye kaisa manzar hai
sab ke hathon mein KHanjar hai
bahar se kya dekh rahe ho
dil to sine ke andar hai
puchh raha tha sahma bachcha
kyon dahshat ka ye manzar hai
matlab kya hai KHamoshi ka
bolo aaKHir kya chakkar hai
yun kuchla hai mere dil ko
tere sine mein patthar hai
haar gaya to kya hai mushkil
marne se jina behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.