yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main
yaaro hudūd-e-ġham se guzarne lagā huuñ maiñ
mujh ko sameT lo ki bikharne lagā huuñ maiñ
chhū kar bulandiyoñ se utarne lagā huuñ maiñ
shāyad nigāh-e-vaqt se Darne lagā huuñ maiñ
par taulne lagī haiñ jo ūñchī uḌaan ko
un ḳhvāhishoñ ke pañkh katarne lagā huuñ maiñ
aatā nahīñ yaqīn ki un ke ḳhayāl meñ
phir āftāb ban ke ubharne lagā huuñ maiñ
kyā baat hai ki apnī tabī.at ke bar-ḳhilāf
de kar zabāñ 'farāġh' mukarne lagā huuñ maiñ
yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main
mujh ko sameT lo ki bikharne laga hun main
chhu kar bulandiyon se utarne laga hun main
shayad nigah-e-waqt se Darne laga hun main
par taulne lagi hain jo unchi uDan ko
un KHwahishon ke pankh katarne laga hun main
aata nahin yaqin ki un ke KHayal mein
phir aaftab ban ke ubharne laga hun main
kya baat hai ki apni tabiat ke bar-KHilaf
de kar zaban 'faragh' mukarne laga hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.