yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango
yaaro kisī qātil se kabhī pyaar na māñgo
apne hī gale ke liye talvār na māñgo
gir jāoge tum apne masīhā kī nazar se
mar kar bhī ilāj-e-dil-e-bīmār na māñgo
khul jā.egā is tarah nigāhoñ kā bharam bhī
kāñToñ se kabhī phuul kī mahkār na māñgo
sach baat pe miltā hai sadā zahr kā pyāla
jiinā hai to phir jiine kā iz.hār na māñgo
us chiiz kā kyā zikr jo mumkin hī nahīñ hai
sahrā meñ kabhī sāya-e-dīvār na māñgo
yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango
apne hi gale ke liye talwar na mango
gir jaoge tum apne masiha ki nazar se
mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango
khul jaega is tarah nigahon ka bharam bhi
kanTon se kabhi phul ki mahkar na mango
sach baat pe milta hai sada zahr ka pyala
jina hai to phir jine ka izhaar na mango
us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai
sahra mein kabhi saya-e-diwar na mango
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.