yas ka bojh uThate hue mar jate hain
yaas kā bojh uThāte hue mar jaate haiñ
log ummīdeñ sajāte hue mar jaate haiñ
ḳhvāhisheñ ziist se lipTī haiñ pishāchoñ kī tarah
ham jinheñ ḳhuun pilāte hue mar jaate haiñ
dhyān meñ jis ke sivā kuchh bhī nahīñ rahtā thā
ab use dhyān meñ laate hue mar jaate haiñ
tū jo iThlā ke raqīboñ se gale miltā hai
ham tirī bazm meñ aate hue mar jaate haiñ
vo bhī kar dete haiñ ik roz ta'alluq ko shahīd
jin ko ham log bachāte hue mar jaate haiñ
rat-jage aañkh kī dahlīz se haTte hī nahīñ
ḳhvāb nīñdoñ ko bulāte hue mar jaate haiñ
kyoñ mareñ ashk bahāte hue ham sahrā meñ
aa.iye peḌ lagāte hue mar jaate haiñ
log farmā.isheñ karte haiñ unhīñ kī 'faisal'
ham jo ash'ār sunāte hue mar jaate haiñ
yas ka bojh uThate hue mar jate hain
log ummiden sajate hue mar jate hain
KHwahishen zist se lipTi hain pishachon ki tarah
hum jinhen KHun pilate hue mar jate hain
dhyan mein jis ke siwa kuchh bhi nahin rahta tha
ab use dhyan mein late hue mar jate hain
tu jo iThla ke raqibon se gale milta hai
hum teri bazm mein aate hue mar jate hain
wo bhi kar dete hain ek roz ta'alluq ko shahid
jin ko hum log bachate hue mar jate hain
rat-jage aankh ki dahliz se haTte hi nahin
KHwab nindon ko bulate hue mar jate hain
kyon maren ashk bahate hue hum sahra mein
aaiye peD lagate hue mar jate hain
log farmaishen karte hain unhin ki 'faisal'
hum jo ash'ar sunate hue mar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.