yas ki badli yun dil par chha gai
yaas kī badlī yuuñ dil par chhā ga.ī
zindagī se zindagī uktā ga.ī
ranj-o-ġham to pahle hī kuchh kam na the
yaad terī kyuuñ hameñ taḌpā ga.ī
aap ne to jhūTā vā'da kar diyā
jaan muTThī meñ hamārī aa ga.ī
zindagī ye dekh kar us ke sitam
maut bhī insān se ghabrā ga.ī
dekh kar is daur kī ayyāriyāñ
kaañp uTThā dil nazar tharrā ga.ī
sar uThāyā jab ta'assub ne 'shafaq'
ādmiyyat kī tabāhī aa ga.ī
yas ki badli yun dil par chha gai
zindagi se zindagi ukta gai
ranj-o-gham to pahle hi kuchh kam na the
yaad teri kyun hamein taDpa gai
aap ne to jhuTa wa'da kar diya
jaan muTThi mein hamari aa gai
zindagi ye dekh kar us ke sitam
maut bhi insan se ghabra gai
dekh kar is daur ki ayyariyan
kanp uTTha dil nazar tharra gai
sar uThaya jab ta'assub ne 'shafaq'
aadmiyyat ki tabahi aa gai
- Book : Mauj-e-shafaq (Pg. 47)
- Author : Dr. Gopal Krishn Shafaq
- Publication : Dr. Gopal Krishn Shafaq (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.