yas-o-gham ranj-o-alam tanhaiyan ab ke baras
yās-o-ġham ranj-o-alam tanhā.iyāñ ab ke baras
merī qismat meñ raheñ nākāmiyāñ ab ke baras
raushnī sūraj kī āñkhoñ par hai manzar dhuup haiñ
lag rahī haiñ sūrateñ parchhā.iyāñ ab ke baras
ā.īne meñ dekh kar ḳhud ko na tum honā udaas
ā.inoñ meñ paḌ ga.iiñ haiñ jhā.iyāñ ab ke baras
dekhnā hogā sitam ye bhī zabāñ-bandī ke baa'd
kaaT lī jā.eñgī sab kī uñgliyāñ ab ke baras
ḳhushk-sālī to nahīñ hai shahr meñ 'mahvar' magar
abr kab barsā.eñge allāh-miyāñ ab ke baras
yas-o-gham ranj-o-alam tanhaiyan ab ke baras
meri qismat mein rahen nakaamiyan ab ke baras
raushni suraj ki aankhon par hai manzar dhup hain
lag rahi hain suraten parchhaiyan ab ke baras
aaine mein dekh kar KHud ko na tum hona udas
aainon mein paD gain hain jhaiyan ab ke baras
dekhna hoga sitam ye bhi zaban-bandi ke ba'd
kaT li jaengi sab ki ungliyan ab ke baras
KHushk-sali to nahin hai shahr mein 'mahwar' magar
abr kab barsaenge allah-miyan ab ke baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.