yās-o-hasrat dard-o-ġham in sab kī manzil ek hai
bekasī meñ āfateñ itnī haiñ aur dil ek hai
vahshat-e-qais aur mere ġham kā hāsil ek hai
vāqiye yaksar judā haiñ hasrat-e-dil ek hai
hālat-e-qalb-o-jigar dekhī ye tere hijr meñ
jaan se ik jā chukā hai nīm-bismil ek hai
bazm-e-jānāñ meñ bahut jaatā thā dil yādash-ba-ḳhair
ya.anī us gum-gashta ke milne kī mahfil ek hai
zindagī kyoñ saath de jab duur tum ham se hue
jāñkanī kā haal aur furqat kī manzil ek hai
ab sivā kunj-e-lahad ke āfiyat mumkin nahīñ
'nāsirī' apne liye rāhat kī manzil ek hai
yas-o-hasrat dard-o-gham in sab ki manzil ek hai
bekasi mein aafaten itni hain aur dil ek hai
wahshat-e-qais aur mere gham ka hasil ek hai
waqiye yaksar juda hain hasrat-e-dil ek hai
haalat-e-qalb-o-jigar dekhi ye tere hijr mein
jaan se ek ja chuka hai nim-bismil ek hai
bazm-e-jaanan mein bahut jata tha dil yaadash-ba-KHair
yani us gum-gashta ke milne ki mahfil ek hai
zindagi kyon sath de jab dur tum hum se hue
jaankani ka haal aur furqat ki manzil ek hai
ab siwa kunj-e-lahad ke aafiyat mumkin nahin
'nasiri' apne liye rahat ki manzil ek hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.