yagana ban ke ho jae wo begana to kya hoga
yagāna ban ke ho jaa.e vo begāna to kyā hogā
jo pahchānā to kyā hogā na pahchānā to kyā hogā
kisī ko kyā ḳhabar aañsū haiñ kyuuñ chashm-e-mohabbat meñ
fuġhāñ se guuñj uTThegā jo vīrāna to kyā hogā
hamārī sī mohabbat tum ko ham se ho to kyā guzre
banā de sham.a ko bhī ishq parvāna to kyā hogā
yahī hogā ki duniyā aql kā anjām dekhegī
had-e-vahshat se baḌh jā.egā dīvāna to kyā hogā
ta.assub darmiyāñ se aap ko vāpas na le aa.e
haram kī raah meñ niklā sanam-ḳhāna to kyā hogā
tasavvur kījiye us aane vaale daur-e-barham kā
gadā toḌeñge jab pindār-e-shāhāna to kyā hogā
miTā do hasrat-e-ābādī-e-dil bhī mire dil se
ye jitnā ab hai is se aur vīrāna to kyā hogā
na tum aaoge na āvāz apnī lauT pā.egī
pukāregā tumheñ sahrā meñ dīvāna to kyā hogā
fareb-e-zindagī kī dāstāñ kahne ko kyā kam hai
qayāmat meñ zabāñ par aur afsāna to kyā hogā
lahū ke daaġh baḌh jā.eñge kuchh dīvār-e-zindāñ par
ḳhafā ho jā.egā zindāñ se dīvāna to kyā hogā
mudāvā ho nahīñ saktā hai dil par choT khāne kā
mire qadmoñ pe rakh do tāj-e-shāhāna to kyā hogā
'sabā' jo zindagī bhīgī huī hai bārish-e-gul se
bulā.egā kisī din us ko vīrāna to kyā hogā
yagana ban ke ho jae wo begana to kya hoga
jo pahchana to kya hoga na pahchana to kya hoga
kisi ko kya KHabar aansu hain kyun chashm-e-mohabbat mein
fughan se gunj uTThega jo virana to kya hoga
hamari si mohabbat tum ko hum se ho to kya guzre
bana de shama ko bhi ishq parwana to kya hoga
yahi hoga ki duniya aql ka anjam dekhegi
had-e-wahshat se baDh jaega diwana to kya hoga
tassub darmiyan se aap ko wapas na le aae
haram ki rah mein nikla sanam-KHana to kya hoga
tasawwur kijiye us aane wale daur-e-barham ka
gada toDenge jab pindar-e-shahana to kya hoga
miTa do hasrat-e-abaadi-e-dil bhi mere dil se
ye jitna ab hai is se aur virana to kya hoga
na tum aaoge na aawaz apni lauT paegi
pukarega tumhein sahra mein diwana to kya hoga
fareb-e-zindagi ki dastan kahne ko kya kam hai
qayamat mein zaban par aur afsana to kya hoga
lahu ke dagh baDh jaenge kuchh diwar-e-zindan par
KHafa ho jaega zindan se diwana to kya hoga
mudawa ho nahin sakta hai dil par choT khane ka
mere qadmon pe rakh do taj-e-shahana to kya hoga
'saba' jo zindagi bhigi hui hai barish-e-gul se
bulaega kisi din us ko virana to kya hoga
- Book : Mere Hisse Ki Roshni (Pg. 115)
- Author : Saba Akbarabadi
- Publication : Educational Publishing House (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.