yagane bhi begane ho gae hain
yagāne bhī begāne ho ga.e haiñ
mohabbat meñ divāne ho ga.e haiñ
ba-juz is ke nahīñ kuchh jānte ham
hameñ bichhḌe zamāne ho ga.e haiñ
musalmānoñ kī ḳhātir hind meñ ab
qafas hī āshiyāne ho ga.e haiñ
javānī kī na.ī rut aur mohabbat
sabhī sapne suhāne ho ga.e haiñ
hamārā ishq bachpan meñ huā hai
abhī se ham siyāne ho ga.e haiñ
ta.ajjub kyā hai fashion kī sadī meñ
jo mardoñ meñ zanāne ho ga.e haiñ
anā haa.il hai milne meñ so 'kāshif'
bahāne hī bahāne ho ga.e haiñ
yagane bhi begane ho gae hain
mohabbat mein diwane ho gae hain
ba-juz is ke nahin kuchh jaante hum
hamein bichhDe zamane ho gae hain
musalmanon ki KHatir hind mein ab
qafas hi aashiyane ho gae hain
jawani ki nai rut aur mohabbat
sabhi sapne suhane ho gae hain
hamara ishq bachpan mein hua hai
abhi se hum siyane ho gae hain
tajjub kya hai fashion ki sadi mein
jo mardon mein zanane ho gae hain
ana hail hai milne mein so 'kashif'
bahane hi bahane ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.