yahan aawaz ko apni uThana bhi chunauti hai
yahāñ āvāz ko apnī uThānā bhī chunautī hai
sahīh kahne kī himmat ko juTānā bhī chunautī hai
nahīñ mā'lūm kyā jaadū hai us kāfir kī bātoñ se
ki ab logoñ ko sachchā.ī dikhānā bhī chunautī hai
kabhī nīñdeñ kabhī sapne pakā.e aañch par maiñ ne
ki daur-e-muflisī meñ ghar chalānā bhī chunautī hai
kabhī ḳhanjar hī koī ghoñp degā piiTh meñ mere
isī Dar se gale sab ko lagānā bhī chunautī hai
khaḌe haiñ mere apne hī merī manzil ke raste meñ
ki aise haal meñ manzil ko paanā bhī chunautī hai
jo har ik bahas ko maz.hab ke mimbar par le aate haiñ
diloñ se un ke nafrat ko haTānā bhī chunautī hai
zabāñ par paḌ ga.e sachchā.ī se jo aable mere
to ab āvāz logoñ ko lagānā bhī chunautī hai
yahan aawaz ko apni uThana bhi chunauti hai
sahih kahne ki himmat ko juTana bhi chunauti hai
nahin ma'lum kya jadu hai us kafir ki baaton se
ki ab logon ko sachchai dikhana bhi chunauti hai
kabhi ninden kabhi sapne pakae aanch par main ne
ki daur-e-muflisi mein ghar chalana bhi chunauti hai
kabhi KHanjar hi koi ghonp dega piTh mein mere
isi Dar se gale sab ko lagana bhi chunauti hai
khaDe hain mere apne hi meri manzil ke raste mein
ki aise haal mein manzil ko pana bhi chunauti hai
jo har ek bahas ko mazhab ke mimbar par le aate hain
dilon se un ke nafrat ko haTana bhi chunauti hai
zaban par paD gae sachchai se jo aable mere
to ab aawaz logon ko lagana bhi chunauti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.