yahan hum be-zaban baiThe hue hain
yahāñ ham be-zabāñ baiThe hue haiñ
ki ham nok-e-sināñ baiThe hue haiñ
jinheñ sauñpā gayā farz-e-hifāzat
jahāñ the ham vahāñ baiThe hue haiñ
musāhib shaah ke kyoñ aaj dekho
hamāre darmiyāñ baiThe hue haiñ
havā ko ruḳh badalnā thā abhī kyoñ
ki khole bādbāñ baiThe hue haiñ
yahāñ mahfūz 'ismat māl-o-daulat
yahāñ bāda-kashāñ baiThe hue haiñ
muravvat kā yahāñ par dars hogā
yahāñ pīr-e-muġhāñ baiThe hue haiñ
bhaTak kar raah se ham aaj 'shāhid'
yuuñ ho ke rā.egāñ baiThe hue haiñ
yahan hum be-zaban baiThe hue hain
ki hum nok-e-sinan baiThe hue hain
jinhen saunpa gaya farz-e-hifazat
jahan the hum wahan baiThe hue hain
musahib shah ke kyon aaj dekho
hamare darmiyan baiThe hue hain
hawa ko ruKH badalna tha abhi kyon
ki khole baadban baiThe hue hain
yahan mahfuz 'ismat mal-o-daulat
yahan baada-kashan baiThe hue hain
murawwat ka yahan par dars hoga
yahan pir-e-mughan baiThe hue hain
bhaTak kar rah se hum aaj 'shahid'
yun ho ke raegan baiThe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.