yahāñ ik mo'jiza ho jā.egā kyā
ye jangal phir harā ho jā.egā kyā
agar maiñ aap kī 'ainak lagā luuñ
to ye manzar nayā ho jā.egā kyā
ghaḌī bhar meñ na.ī duniyā basā duuñ
ye sab be-sāḳhta ho jā.egā kyā
dahaktā hai ye sūraj kab se āḳhir
bujhegā to siyah ho jā.egā kyā
agar ham saañs lenā band kar deñ
to auroñ kā bhalā ho jā.egā kyā
ukhaḌtī hoñ jahāñ yādoñ kī sāñseñ
ab itnā fāsla ho jā.egā kyā
anal-haq kī sadā.eñ pūchhtī haiñ
ye sar tan se judā ho jā.egā kyā
sitāre rāsta roke khaḌe haiñ
koī dam hādisa ho jā.egā kyā
ye qaziya le to jaa.eñ āsmāñ par
vahāñ kuchh faisla ho jā.egā kyā
junūñ meñ kah ga.e ham aaj kyā kuchh
magar jo kah diyā ho jā.egā kyā
yahan ek mo'jiza ho jaega kya
ye jangal phir hara ho jaega kya
agar main aap ki 'ainak laga lun
to ye manzar naya ho jaega kya
ghaDi bhar mein nai duniya basa dun
ye sab be-saKHta ho jaega kya
dahakta hai ye suraj kab se aaKHir
bujhega to siyah ho jaega kya
agar hum sans lena band kar den
to auron ka bhala ho jaega kya
ukhaDti hon jahan yaadon ki sansen
ab itna fasla ho jaega kya
anal-haq ki sadaen puchhti hain
ye sar tan se juda ho jaega kya
sitare rasta roke khaDe hain
koi dam hadisa ho jaega kya
ye qaziya le to jaen aasman par
wahan kuchh faisla ho jaega kya
junun mein kah gae hum aaj kya kuchh
magar jo kah diya ho jaega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.