yahan ishq mast-e-alast hai yahan shakl kya yahan nam kya
yahāñ ishq mast-e-alast hai yahāñ shakl kyā yahāñ naam kyā
ye jahān-e-mauj-e-ḳhayāl hai yahāñ aql-o-fikr se kaam kyā
rah-e-ishq kī ye tajalliyāñ yahāñ gum hue ka.ī kārvāñ
ka.ī pech-o-ḳham haiñ yahāñ vahāñ kisī jā pe koī qiyām kyā
jahāñ harf-o-ma.anī haiñ sab ġhalat vahāñ mudda.ā nahīñ mudda.ā
jahāñ guftugū bhī harām ho vahāñ iztirāb-e-kalām kyā
yahī mai-kada hai vo mai-kada jahāñ qatra-qatra surūr hai
ye maqām-e-kaif-e-nigāh hai yahāñ raqs-e-bāda-o-jām kyā
ye hijāb-e-lā ye vajūd-e-lā yahāñ har nishān hai be-nishāñ
yahāñ kam haiñ aql-o-shu.ūr sab yahāñ āgahī kā maqām kyā
na haram se us ko koī ġharaz na hī dair se koī vāsta
jo ġhulām yaar kā ho gayā'' vo bhalā kisī kā ġhulām kyā
ye jahān-e-ishq hai be-ḳhabar yahāñ kā.enāt-e-ḳhudī kahāñ
nahīñ jab maqām-e-ḳhabar koī to payām kyā to salām kyā
yahan ishq mast-e-alast hai yahan shakl kya yahan nam kya
ye jahan-e-mauj-e-KHayal hai yahan aql-o-fikr se kaam kya
rah-e-ishq ki ye tajalliyan yahan gum hue kai karwan
kai pech-o-KHam hain yahan wahan kisi ja pe koi qiyam kya
jahan harf-o-mani hain sab ghalat wahan muddaa nahin muddaa
jahan guftugu bhi haram ho wahan iztirab-e-kalam kya
yahi mai-kada hai wo mai-kada jahan qatra-qatra surur hai
ye maqam-e-kaif-e-nigah hai yahan raqs-e-baada-o-jam kya
ye hijab-e-la ye wajud-e-la yahan har nishan hai be-nishan
yahan kam hain aql-o-shuur sab yahan aagahi ka maqam kya
na haram se us ko koi gharaz na hi dair se koi wasta
jo ghulam yar ka ho gaya wo bhala kisi ka ghulam kya
ye jahan-e-ishq hai be-KHabar yahan kaenat-e-KHudi kahan
nahin jab maqam-e-KHabar koi to payam kya to salam kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.