yahan jo kuchh hai husn-e-la-makan ke ma-siwa kya hai
yahan jo kuchh hai husn-e-la-makan ke ma-siwa kya hai
Syed Ahmed Shameem
MORE BYSyed Ahmed Shameem
yahāñ jo kuchh hai husn-e-lā-makāñ ke mā-sivā kyā hai
magar jalva hī jalva hai to merā aa.ina kyā hai
tū hī shah-e-rag meñ rahtā hai to hī mauj-e-nafas meñ hai
to phir batlā ki mā-o-tū meñ itnā fāsla kyā hai
mashām-e-jāñ meñ kaisī ḳhushbuoñ kī aaj bārish hai
chhupā.e apne dāman meñ ḳhudā jaane sabā kyā hai
ham aise saḳht-jānoñ kā bahut mushkil hai mar jaanā
sivā-e-zindagī ke aur koī rāsta kyā hai
na jaane jañgaloñ meñ apne kaisī aag ugtī hai
ujāloñ kā sar-e-kohsār jagmag silsila kyā hai
yahī hairat hai kaise daur maiñ jiinā paḌā mujh ko
samajh meñ kuchh nahīñ aatā bhalā kyā hai burā kyā hai
'shamīm' achchhā kiyā ki aap ne sab kuchh bhulā Daalā
magar rah rah ke dil meñ gūñjtī pichhlī sadā kyā hai
yahan jo kuchh hai husn-e-la-makan ke ma-siwa kya hai
magar jalwa hi jalwa hai to mera aaina kya hai
tu hi shah-e-rag mein rahta hai to hi mauj-e-nafas mein hai
to phir batla ki ma-o-tu mein itna fasla kya hai
masham-e-jaan mein kaisi KHushbuon ki aaj barish hai
chhupae apne daman mein KHuda jaane saba kya hai
hum aise saKHt-jaanon ka bahut mushkil hai mar jaana
siwa-e-zindagi ke aur koi rasta kya hai
na jaane jangalon mein apne kaisi aag ugti hai
ujalon ka sar-e-kohsar jagmag silsila kya hai
yahi hairat hai kaise daur main jina paDa mujh ko
samajh mein kuchh nahin aata bhala kya hai bura kya hai
'shamim' achchha kiya ki aap ne sab kuchh bhula Dala
magar rah rah ke dil mein gunjti pichhli sada kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.