yahan jo peD the apni jaDon ko chhoD chuke
yahāñ jo peḌ the apnī jaḌoñ ko chhoḌ chuke
qadam jamātī huī sab rutoñ ko chhoḌ chuke
koī tasavvur-e-zindāñ bhī ab nahīñ baaqī
ham us zamāne ke sab dostoñ ko chhoḌ chuke
bhaTak rahe haiñ ab uḌte hue ġhubār ke saath
musāfir apne sabhī rāstoñ ko chhoḌ chuke
nikal chuke haiñ tire roz o shab se ab aage
dinoñ ko chhoḌ chuke ham shaboñ ko chhoḌ chuke
na jaane kis liye hijrat pe vo hue majbūr
parinde apne sabhī ghoñsloñ ko chhoḌ chuke
jo mar ga.e unheñ zindān se nikāleñge
nahīñ ki ahl-e-qafas qaidiyoñ ko chhoḌ chuke
agarche aisā nahīñ lag rahā hai aisā magar
ki raahī saare 'zafar' rahbaroñ ko chhoḌ chuke
yahan jo peD the apni jaDon ko chhoD chuke
qadam jamati hui sab ruton ko chhoD chuke
koi tasawwur-e-zindan bhi ab nahin baqi
hum us zamane ke sab doston ko chhoD chuke
bhaTak rahe hain ab uDte hue ghubar ke sath
musafir apne sabhi raston ko chhoD chuke
nikal chuke hain tere roz o shab se ab aage
dinon ko chhoD chuke hum shabon ko chhoD chuke
na jaane kis liye hijrat pe wo hue majbur
parinde apne sabhi ghonslon ko chhoD chuke
jo mar gae unhen zindan se nikalenge
nahin ki ahl-e-qafas qaidiyon ko chhoD chuke
agarche aisa nahin lag raha hai aisa magar
ki rahi sare 'zafar' rahbaron ko chhoD chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.