yahan kanp jate hain falsafe ye baDa ajib maqam hai
yahāñ kaañp jaate haiñ falsafe ye baḌā ajiib maqām hai
jise apnā apnā ḳhudā kaheñ use sajda karnā harām hai
mirī be-ruḳhī se na ho ḳhafā mire nāsehā mujhe ye batā
jo nazar se piitā huuñ maiñ yahāñ vo sharāb kaise harām hai
jo patiñgā lau pe fidā huā to taḌap ke sham.a ne ye kahā
ise mere dard se kyā ġharaz ye to raushnī kā ġhulām hai
shab-e-intizār meñ bār-hā mujhe 'anvar' aisā gumāñ huā
jise maut kahtā hai ye jahāñ vo kisī ke vaade kā naam hai
yahan kanp jate hain falsafe ye baDa ajib maqam hai
jise apna apna KHuda kahen use sajda karna haram hai
meri be-ruKHi se na ho KHafa mere naseha mujhe ye bata
jo nazar se pita hun main yahan wo sharab kaise haram hai
jo patinga lau pe fida hua to taDap ke shama ne ye kaha
ise mere dard se kya gharaz ye to raushni ka ghulam hai
shab-e-intizar mein bar-ha mujhe 'anwar' aisa guman hua
jise maut kahta hai ye jahan wo kisi ke wade ka nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.