yahan kis ko bataen hum dil-o-dildar ka matlab
yahāñ kis ko batā.eñ ham dil-o-dildār kā matlab
ġhalat hī to samajhte haiñ sabhī ab pyaar kā matlab
zarā sī baat par TukḌoñ meñ ghar ko bāñTne vāloñ
tumheñ ma.alūm hai kyā hotā hai dīvār kā matlab
havā se kahiyo āhista chhue nāzuk badan us kā
vagarna samjhā degī achchhe se angār kā matlab
ḳhushī meñ saath rahte ho ġhamoñ meñ chhoḌ jaate ho
nahīñ aisā nahīñ hotā hai sachche yaar kā matlab
kisī bhī kaam ke laa.eq nahīñ bekār haiñ ham jaan
tumheñ ma.alūm to hai achchhe se bekār kā matlab
yahan kis ko bataen hum dil-o-dildar ka matlab
ghalat hi to samajhte hain sabhi ab pyar ka matlab
zara si baat par TukDon mein ghar ko banTne walon
tumhein malum hai kya hota hai diwar ka matlab
hawa se kahiyo aahista chhue nazuk badan us ka
wagarna samjha degi achchhe se angar ka matlab
KHushi mein sath rahte ho ghamon mein chhoD jate ho
nahin aisa nahin hota hai sachche yar ka matlab
kisi bhi kaam ke laeq nahin bekar hain hum jaan
tumhein malum to hai achchhe se bekar ka matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.