yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha
yahāñ kisī ne charāġh-e-vafā jalāyā thā
tabhī ye ġham-kada-e-dil bhī jagmagāyā thā
junūñ kī shoḳh adāoñ ne faash kar hī diyā
vo ek raaz ḳhirad ne jise chhupāyā thā
shab-e-bahār kī shahzādiyo! ḳhabar hai tumheñ
abhī abhī koī nāshād muskurāyā thā
sulag rahī haiñ umañgeñ to sochtā huuñ maiñ
bahut hī ḳhushk tirī zulfoñ kā narm saaya thā
ye māhtāb se kis ne mujhe sadā dī thī
ye kaun duur se mere qarīb aayā thā
yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha
tabhi ye gham-kada-e-dil bhi jagmagaya tha
junun ki shoKH adaon ne fash kar hi diya
wo ek raaz KHirad ne jise chhupaya tha
shab-e-bahaar ki shahzadiyo! KHabar hai tumhein
abhi abhi koi nashad muskuraya tha
sulag rahi hain umangen to sochta hun main
bahut hi KHushk teri zulfon ka narm saya tha
ye mahtab se kis ne mujhe sada di thi
ye kaun dur se mere qarib aaya tha
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 32)
- Author : devendra issar
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.