yahan kyon log is sachchai se anjaan hote hain
yahan kyon log is sachchai se anjaan hote hain
Dharvendra Singh Bedar
MORE BYDharvendra Singh Bedar
yahāñ kyoñ log is sachchā.ī se anjān hote haiñ
ki achchhe karm hī insān kī pahchān hote haiñ
hamārā ye nazarya hai ki duniyā ik sarā.e hai
yahāñ sab log kuchh hī roz ke mehmān hote haiñ
kabhī to ai hukūmat le ḳhabar tū in ġharīboñ kī
ġharīboñ ke bhī to kuchh ḳhvāb kuchh armān hote haiñ
munāfa’ gar koī hotā yahī byopār karte sab
mohabbat kī tijārat meñ faqat nuqsān hote haiñ
na ghabrāo zarā sā bhī safar kī mushkiloñ se tum
safar meñ mushkiloñ se rāste āsān hote haiñ
yahan kyon log is sachchai se anjaan hote hain
ki achchhe karm hi insan ki pahchan hote hain
hamara ye nazarya hai ki duniya ek sarae hai
yahan sab log kuchh hi roz ke mehman hote hain
kabhi to ai hukumat le KHabar tu in gharibon ki
gharibon ke bhi to kuchh KHwab kuchh arman hote hain
munafa’ gar koi hota yahi byopar karte sab
mohabbat ki tijarat mein faqat nuqsan hote hain
na ghabrao zara sa bhi safar ki mushkilon se tum
safar mein mushkilon se raste aasan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.