yahan mahaul kuchh aisa hua hai
yahāñ māhaul kuchh aisā huā hai
mohabbat lafz tak rusvā huā hai
hukūmat raushnī ne chhoḌ dī ab
tabhī zulmat tirā qabza huā hai
hamārī jiit pakkī ho ga.ī thī
hameñ shak hai kahīñ dhoka huā hai
baḌhī hai yuuñ to mahñgā.ī vatan meñ
lahū apnā magar sastā huā hai
tirā marham tujhe hī ho mubārak
ki is se zaḳhm aur gahrā huā hai
tumheñ mālūm ho 'hamza' to bolo
nizām-e-shahr kyoñ bigḌā huā hai
yahan mahaul kuchh aisa hua hai
mohabbat lafz tak ruswa hua hai
hukumat raushni ne chhoD di ab
tabhi zulmat tera qabza hua hai
hamari jit pakki ho gai thi
hamein shak hai kahin dhoka hua hai
baDhi hai yun to mahngai watan mein
lahu apna magar sasta hua hai
tera marham tujhe hi ho mubarak
ki is se zaKHm aur gahra hua hai
tumhein malum ho 'hamza' to bolo
nizam-e-shahr kyon bigDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.