yahan makinon se Khaali makan rahte hain
yahāñ makīnoñ se ḳhālī makān rahte haiñ
mohabbateñ nahīñ rahtīñ gumān rahte haiñ
ḳhudā kare ki sune tū zabān-e-ḳhāmoshī
tire paḌos meñ kuchh be-zabān rahte haiñ
na kiije takiya buzurgoñ kī Dhaltī chhāñv par
kahāñ saroñ pe sadā sā.ebān rahte haiñ
yahī jahāñ hai hamārā jahān-e-gumshudgī
yahī nishān ki bas be-nishān rahte haiñ
mohabbateñ jis ufuq se tulūa hotī haiñ
vahīñ pe mil ke zamīñ āsmān rahte haiñ
tire sulūk ne dhuñdlā diye sab afsāne
ham apne se bhī bahut bad-gumān rahte haiñ
har ek shaḳhs ko majbūr 'aah' mat jaano
ki shīshe bhī kahīñ ban kar chaTān rahte haiñ
yahan makinon se KHali makan rahte hain
mohabbaten nahin rahtin guman rahte hain
KHuda kare ki sune tu zaban-e-KHamoshi
tere paDos mein kuchh be-zaban rahte hain
na kije takiya buzurgon ki Dhalti chhanw par
kahan saron pe sada saeban rahte hain
yahi jahan hai hamara jahan-e-gumshudgi
yahi nishan ki bas be-nishan rahte hain
mohabbaten jis ufuq se tulua hoti hain
wahin pe mil ke zamin aasman rahte hain
tere suluk ne dhundla diye sab afsane
hum apne se bhi bahut bad-guman rahte hain
har ek shaKHs ko majbur 'ah' mat jaano
ki shishe bhi kahin ban kar chaTan rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.