yahan nahin na sahi par kahin to ho jae
yahāñ nahīñ na sahī par kahīñ to ho jaa.e
havas jahāñ kī nahīñ hai zamīñ to ho jaa.e
maiñ apne saare taqāzoñ ko taaq par rakh duuñ
koī kisī kā nahīñ hai yaqīñ to ho jaa.e
ab e'timād jhalakne lagā hai āñkhoñ meñ
sukūn us ko mayassar nahīñ to ho jaa.e
jo kar rahe ho tum ābād is ḳharābe ko
kahūñ ḳhayāl se pahle makīñ to ho jaa.e
na.e laqab se pukāregī dekhnā duniyā
magar hai shart ki lahja nagīñ to ho jaa.e
yahan nahin na sahi par kahin to ho jae
hawas jahan ki nahin hai zamin to ho jae
main apne sare taqazon ko taq par rakh dun
koi kisi ka nahin hai yaqin to ho jae
ab e'timad jhalakne laga hai aankhon mein
sukun us ko mayassar nahin to ho jae
jo kar rahe ho tum aabaad is KHarabe ko
kahun KHayal se pahle makin to ho jae
nae laqab se pukaregi dekhna duniya
magar hai shart ki lahja nagin to ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.