yahan par mera kuchh bhi tha hi nahin
yahan par mera kuchh bhi tha hi nahin
Nishant Shrivastava Nayab
MORE BYNishant Shrivastava Nayab
yahāñ par mirā kuchh bhī thā hī nahīñ
so ghāTā zarā bhī huā hī nahīñ
ragoñ tak meñ ḳhushbū tirī jazb kī
havā pe bharosa kiyā hī nahīñ
mire dil kī hālat jo thī vo rahī
ye paudā shajar to huā hī nahīñ
vo kyā mājrā thā khulā hī nahīñ
nishāne pe patthar lagā hī nahīñ
kahānī diye kī bahut ḳhuub hai
magar is meñ zikr-e-havā hī nahīñ
javāboñ ke chehroñ pe haiñ uljhaneñ
savāloñ kā ab tak pata hī nahīñ
safar kā maiñ āġhāz kaise karūñ
mire haq meñ koī duā hī nahīñ
yahan par mera kuchh bhi tha hi nahin
so ghaTa zara bhi hua hi nahin
ragon tak mein KHushbu teri jazb ki
hawa pe bharosa kiya hi nahin
mere dil ki haalat jo thi wo rahi
ye pauda shajar to hua hi nahin
wo kya majra tha khula hi nahin
nishane pe patthar laga hi nahin
kahani diye ki bahut KHub hai
magar is mein zikr-e-hawa hi nahin
jawabon ke chehron pe hain uljhanen
sawalon ka ab tak pata hi nahin
safar ka main aaghaz kaise karun
mere haq mein koi dua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.