Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan pe DhunDe se bhi farishte nahin milenge

Ahmad Azeem

yahan pe DhunDe se bhi farishte nahin milenge

Ahmad Azeem

MORE BYAhmad Azeem

    yahāñ pe DhūñDe se bhī farishte nahīñ mileñge

    zamīñ hai sāhab yahāñ to ahl-e-zamīñ mileñge

    pareshāñ mat ho ki yaar TeḌhī lakīreñ haiñ ham

    kahāñ to kuchh patā nahīñ par kahīñ mileñge

    kuchh aise ġham haiñ jo dil meñ hargiz nahīñ Thaharte

    makān hote hue saḌak par makīñ mileñge

    zamīñ pe milne na deñge ham ko zamāne vaale

    chalo ki marte haiñ donoñ zer-e-zamīñ mileñge

    hamāre dil meñ banī huī haiñ hazāroñ qabreñ

    har ek turbat meñ dafn zinda yaqīñ mileñge

    rakhā gayā hai hameñ kuchh aise muġhālate meñ

    vahāñ mileñge jahāñ pe arsh-o-zamīñ mileñge

    hameñ to hūreñ mileñgī ham se banā ke rakkho

    tumheñ vahāñ par bhī ke keval hamīñ mileñge

    yahan pe DhunDe se bhi farishte nahin milenge

    zamin hai sahab yahan to ahl-e-zamin milenge

    pareshan mat ho ki yar TeDhi lakiren hain hum

    kahan ka to kuchh pata nahin par kahin milenge

    kuchh aise gham hain jo dil mein hargiz nahin Thaharte

    makan hote hue saDak par makin milenge

    zamin pe milne na denge hum ko zamane wale

    chalo ki marte hain donon zer-e-zamin milenge

    hamare dil mein bani hui hain hazaron qabren

    har ek turbat mein dafn zinda yaqin milenge

    rakha gaya hai hamein kuchh aise mughaalate mein

    wahan milenge jahan pe arsh-o-zamin milenge

    hamein to huren milengi hum se bana ke rakkho

    tumhein wahan par bhi ja ke kewal hamin milenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now