yahan pe jo hai wo mazhab-shikar hai han hai
yahan pe jo hai wo mazhab-shikar hai han hai
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
yahāñ pe jo hai vo maz.hab-shikār hai haañ hai
ḳhudā diloñ pe dimāġhoñ pe baar hai haañ hai
tamām muftī-o-vā.iz ḳhudā ko bechte haiñ
to kyā ḳhudā bhī koī kārobār hai haañ hai
har ek chiiz meñ tum aib dekhte ho nahīñ
tumhārā lahja shikāyat-guzār hai haañ hai
sabhī ko ḳhabt-e-ḳhud-ārā.ī-o-numā.ish hai
sabhī ke zehn pe aurat savār hai haañ hai
jo chand log mohazzab hue haiñ kahte haiñ
ki masḳharoñ meñ tumhārā shumār hai haañ hai
tum aaj bhī usī hasrat se mujh se miltī ho
to kyā abhī bhī mirā intizār hai haañ hai
yahan pe jo hai wo mazhab-shikar hai han hai
KHuda dilon pe dimaghon pe bar hai han hai
tamam mufti-o-waiz KHuda ko bechte hain
to kya KHuda bhi koi karobar hai han hai
har ek chiz mein tum aib dekhte ho nahin
tumhaara lahja shikayat-guzar hai han hai
sabhi ko KHabt-e-KHud-arai-o-numaish hai
sabhi ke zehn pe aurat sawar hai han hai
jo chand log mohazzab hue hain kahte hain
ki masKHaron mein tumhaara shumar hai han hai
tum aaj bhi usi hasrat se mujh se milti ho
to kya abhi bhi mera intizar hai han hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.