yahan pe sab ko hi aaKHir zawal aana hai
yahāñ pe sab ko hī āḳhir zavāl aanā hai
tumhāre husn pe ye bhī kamāl aanā hai
us ek ḳhauf se maiñ kuchh bhī sochtā hī nahīñ
ki har ḳhayāl meñ terā ḳhayāl aanā hai
bichhaḌ gayā vo to kab tak raheñge ham tanhā
hamāre sāmne ye bhī savāl aanā hai
maiñ tere shahr ko jis din bhī chhoḌ jā.uñgā
tumhāre ruḳh pe phir us din malāl aanā hai
yahan pe sab ko hi aaKHir zawal aana hai
tumhaare husn pe ye bhi kamal aana hai
us ek KHauf se main kuchh bhi sochta hi nahin
ki har KHayal mein tera KHayal aana hai
bichhaD gaya wo to kab tak rahenge hum tanha
hamare samne ye bhi sawal aana hai
main tere shahr ko jis din bhi chhoD jaunga
tumhaare ruKH pe phir us din malal aana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.