yahan qayam se behtar hai kuch kar jaana
yahāñ qayām se behtar hai kuuch kar jaanā
vo bā-ḳhabar thā jise ham ne be-ḳhabar jaanā
ham us ke dost haiñ kyā zikr-e-vasf-e-yār kareñ
jise ḳhud us ke raqīboñ ne mo'atabar jaanā
jahāñ pe taaq haiñ buġhz-o-riyā ke fan meñ tamām
us ek shaḳhs ne iḳhlās ko hunar jaanā
kuchh us ke saath safar sahl bhī nahīñ thā magar
ab is ke ba.ad to mushkil hai lauT kar jaanā
kisī kā dukh bhī ho samjhā hai apnā dukh us ne
ġharīb-ḳhāna kisī kā ho apnā ghar jaanā
yahan qayam se behtar hai kuch kar jaana
wo ba-KHabar tha jise hum ne be-KHabar jaana
hum us ke dost hain kya zikr-e-wasf-e-yar karen
jise KHud us ke raqibon ne mo'atabar jaana
jahan pe taq hain bughz-o-riya ke fan mein tamam
us ek shaKHs ne iKHlas ko hunar jaana
kuchh us ke sath safar sahl bhi nahin tha magar
ab is ke baad to mushkil hai lauT kar jaana
kisi ka dukh bhi ho samjha hai apna dukh us ne
gharib-KHana kisi ka ho apna ghar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.