yahan saDak ka qarar zaKHmi
yahāñ saḌak kā qarār zaḳhmī
ulaTte sab shahsavār zaḳhmī
havā pe saiqal hai qahqahe kī
galī meñ chaltī qatār zaḳhmī
hamārī āñkheñ lahū-lahū haiñ
harā-bharā sabza-zār zaḳhmī
nihattā hī thā pa kar gayā vaar
ki ho gayā vo farār zaḳhmī
mire gale par chamaktī shah-rag
to us ke ḳhanjar kī dhaar zaḳhmī
udhar vo maujoñ kī maar pe the
idhar maiñ dariyā ke paar zaḳhmī
yahan saDak ka qarar zaKHmi
ulaTte sab shahsawar zaKHmi
hawa pe saiqal hai qahqahe ki
gali mein chalti qatar zaKHmi
hamari aankhen lahu-lahu hain
hara-bhara sabza-zar zaKHmi
nihatta hi tha pa kar gaya war
ki ho gaya wo farar zaKHmi
mere gale par chamakti shah-rag
to us ke KHanjar ki dhaar zaKHmi
udhar wo maujon ki mar pe the
idhar main dariya ke par zaKHmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.