yahan to har ghaDi koh-e-nida ki zad mein rahte hain
yahāñ to har ghaḌī koh-e-nidā kī zad meñ rahte haiñ
tajāvz ke bhī mausam meñ ham apnī had meñ rahte haiñ
bahut mohtāt ho kar saañs lenā mo'tabar ho tum
hamārā kyā hai ham to ḳhud hī apnī rad meñ rahte haiñ
sarāb o aab kī ye kashmakash bhī ḳhatm hī samjho
chalo mauj-e-sadā ban kar kisī gumbad meñ rahte haiñ
saroñ ke bojh ko shānoñ pe rakhnā mojaza bhī hai
har ik pal varna ham bhī halqa-e-sarmad meñ rahte haiñ
yahan to har ghaDi koh-e-nida ki zad mein rahte hain
tajawz ke bhi mausam mein hum apni had mein rahte hain
bahut mohtat ho kar sans lena mo'tabar ho tum
hamara kya hai hum to KHud hi apni rad mein rahte hain
sarab o aab ki ye kashmakash bhi KHatm hi samjho
chalo mauj-e-sada ban kar kisi gumbad mein rahte hain
saron ke bojh ko shanon pe rakhna mojaza bhi hai
har ek pal warna hum bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.