yahan to lagne lage bar jism-o-jaan mujhe
yahāñ to lagne lage baar jism-o-jān mujhe
ye kis maqām pe laa.e haiñ mehrbān mujhe
mirī zamīn mire paañv khīñch letī hai
vagarna roz bulātā hai āsmān mujhe
kisī ke dam se hī dilchaspiyāñ salāmat thiiñ
ab ek aañkh na bhaa.e tirā jahān mujhe
na.e mahāz pe jā.ūñ to kis tarah jā.ūñ
abhī to dafn bhī karnā hai ḳhāndān mujhe
har ek gaam pe baiThe hue the harkāre
har ek gaam pe denā paḌā lagān mujhe
yahan to lagne lage bar jism-o-jaan mujhe
ye kis maqam pe lae hain mehrban mujhe
meri zamin mere panw khinch leti hai
wagarna roz bulata hai aasman mujhe
kisi ke dam se hi dilchaspiyan salamat thin
ab ek aankh na bhae tera jahan mujhe
nae mahaz pe jaun to kis tarah jaun
abhi to dafn bhi karna hai KHandan mujhe
har ek gam pe baiThe hue the harkare
har ek gam pe dena paDa lagan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.